Aloo Tikki Chaat Recipe in Roman English/Urdu.
Chaat ka naam sunte hi munh men pani aane lagta hai. Isiliye Naya Ttaste par 'Chaat' category men ab tak kai recipe pesht ki ja chuki hain. Usi silsile men aaj Aloo Tikki Chat Recipe hazir hai. Hamen yakin hai ki ye recipe aapko pasand aayegi.
Zaruri Saman (Ingredients):
Aloo_Potato - 500 gram,
Dahee_Curd - 01 cup,
Pyaz_Onion - 01 adad,
Corn flour - 01 bada chammach,
Kala namak_Black salt - 01 chhota chammach,
Lal mirch powder_Red chilli powder - 01 chhota chammach,
Bhuna jeera powder_Roasted cumin powder - 01 chhota chammach,
Hari mirch_Green chilli - 02 (barik kati hui),
Shakkar_Sugar - 3-4 chhote chammach,
Hari dhaniya_Coriander leaves - 01 bade chammach (barik kati hui),
Ghee - senkne ke liye,
Imli ki chutney_Tamarind chutney - zarurat ke mutabik,
Hari chutney_Green chutney - zarurat ke mutabik,
Namak_Salt - test ke mutabik.
Aloo Tikki Chaat Banane ki Recipe:
Aloo Tikki Chat banane ke liye sabse pahle aloo ko ubalkar chheel len aur kaddukas kar len.
Dahee men shakkar dalkar achchhi tarah se fent len aur chikna gadha dahee taiyar kar len.
Aloo men corn flour, aur 01 chhota chammach namak dalkar achchhi tarah se maish kar len.
Iske bad ek bada chammach aloo ka mixture lekar use tikkee ke shape men dhal len. Ab tawe ko aanch par rakh kar garam karen.
Tawa garam hone par usmen ghee dalen. Ghee garam hone par usmen tikkiyon ko dalen aur medium aanch par sunahra aur kurkura hone tak ulat-palat kar senk len.
Ab plate men ek tikki rakhen. Iske upar imli ki chutney, hari chutney, lal mirch powder, kala namak, jeera powder, dahee aur pyaz dalen. Sath hi ise hari mirch aur dhaniya se garnish karen.
Lijiye aapki Aloo Tikki Chat taiyar hai. Ab time vest na Karen pure parivar ke sath iska maze len.
keywords: Aloo chaat recipe in urdu, Chaat recipe in Roman Urdu, Chaat recipe in urdu dailymotion, Aloo tikki in Urdu, Aloo tikki chaat in Urdu, Aloo tikki recipe in Urdu, Crispy aloo tikki recipe in Urdu, Spicy aloo tikki recipe in Urdu, Aloo tikki recipe in Roman Urdu, Aloo tikki chaat recipe in Roman Urdu, Aloo tikki chaat recipe in Roman Urdu, How to make aloo tikki, Indian Chaat Recipes in Urdu, Aloo Chaat Recipes in Urdu, Chaat Recipes in Urdu,
COMMENTS