Eggless Chocolate Cake Recipe in Roman English/Urdu
Cake sabhi ko pasand aata hai. Lekin cake khane ka asli mazaa to tabhi hai, jab wo ghar ka banaa ho. Isilyie aaj hum aapke liye laye hain, ghar par Cooker men Eggless Cake banane ki recipe. Ise padhen, aur apne haath se cake banayen.
Zaruri Saman (Ingredients):
Maida (Flour) - 250 gram,
Gadha doodh (Condensed milk)- 200 gram,
Shakkar (Sugar) - 100 gram (pisi hui),
Butter/Ghee - 100 gram,
Doodh (Milk)- 200 gram,
Coco powder - 50 gram,
Akhrot (Walnut)-mahin katre hue - 02 chhote chammach (tsp),
Badam (Almond)-mahin katre hue - 02 chhote chammach (tsp),
Kaju (Cashew)-mahin katre hue - 02 chhote chammach (tsp),
Baking powder - 01 chhota chammach (tsp),
Baking soda - 1/2 chhota chammach (tsp),
Namak (Salt) - 1/4 chhota chammach (tsp).
Eggless Chocolate Cake Banane ki Recipe:
Eggless Chocolate Cake Banane ki Recipe:
Eggless Chocolate Cake banane ke liye sabase pahle cake banane wale bartan men andar se charon or ghee/makkhan lagaa len. Iske baad ek chhota chammach maida lekar bartan ke andar dalen aur usko is tarah se ghumayen ki vah andar ki puri layer par lag jaye. Uske baad bache hue maida ko baahar nikal den.
Ab maida, beking powder, beking soda, coco powder aur namak ko mila len, fir use chalni se chhan len. Ab ek bade bartan men ghee aur shakkar ko mila kar achchhi tarah se fent len. Ismen doodh dalen aur fir se fent len.
Fentne ke baad ismen thoda-thoda karke maida dalte jayen aur fentate jayen. Jab sara maida pad jaye, uske baad bhi ise ek baar achchhi tarah se fent len. Yaad rahe is pest men guthliyan nahin padni chahiye, nahin to cake kharab ho jayega.
Fentne ke baad ismen thoda-thoda karke maida dalte jayen aur fentate jayen. Jab sara maida pad jaye, uske baad bhi ise ek baar achchhi tarah se fent len. Yaad rahe is pest men guthliyan nahin padni chahiye, nahin to cake kharab ho jayega.
Ab pest men thoda-thoda karke doodh dalen aur ise fir se fenten. Uske baad ismen akhrot, badam, kaju milaa len aur rakh den. Yaad rakhen, yah pest pakaude banaane vale pest ki tarah hona chahiye, na zyada patla, na zyada gadha, tabhi cake achchha banega.
Ab jis cooker men cake banana hai, uske tale men ek katori namak lekar bichha den. Ye layer thodi moti honi chahiye, jisse cake ka bartan, joki cooker ke andar rakhaa jayega, cooker ki layar se tuch na ho, nahin to cake jal jayega.
Cooker ko tej aanch par rakhen. Ab ghee aur maida ki part lage bartan men cake ka pest dalkar use cooker men rakh den aur cooker ke dhakkan ki seeti hata kar dhakkan ko band kar den. Uske baad gais ki aanch slow kar den aur cake ko pakne den.
40 minute baad cooker khol kar dekhen ki cake pakaa hai ki nahin. Iske liye ek chaku len aur cake ke upar rakhen. Agar chaku par cake chipak raha hai, to iska matlab cake abhi thik se pakaa nahin hai. Aise men cooker ko band kar den aur fir 10 minute tak pakayen.
Cake ke pakne par gais band kar den aur cake wale bartan ko cooker se nikal kar thanda hone den. Fir chaku se cake ko bartan se alag kar len aur usko plate men rakh kar manchahe shape men kat len aur test karen.
Read- Gajar Halwa Recipe, Christmas Cake Recipe, Fruit & Nut Cake Recipe,
Milk Cake Recipe in Hindi, 151 Breakfast Recipes in Hindi
keywords: eggless dark chocolate cake recipe in roman english, eggless moist chocolate cake recipe in roman english, eggless chocolate cake recipe in cooker in roman english, cooker chocolate cake recipe without egg in roman english, cooker cake recipe without egg in roman english, cooker cake recipe in roman english, chocolate cake recipe without egg in pressure cooker in roman english, Ingredients for Eggless Chocolate cake in roman english, How to Make Eggless Chocolate Cake in Pressure Cooker in roman english, how to make chocolate cake in roman english, how to make cake at home in roman english, how to make cake at home without oven in roman english, veg cake recipe in roman english, veg cake recipe in roman urdu, chocolate cake recipe in roman urdu, chocolate cake recipe in roman urdu, cooker cake recipe in roman urdu, eggless cooker cake recipe in roman english
COMMENTS