Dhokla Recipe in Roman English/Urdu.
Gujrati foods men dhokla begad popular hai. Ye behad halka-fulka snack hai, jo bachchon aur badon sabhi ko pasand aata hai. To fir aaiye seekhte hain Besan Rava Dhokla Recipe. Hamen yakin hai ki ye recipe aapko pasand aayegi.
Zaruri Saman (Ingredients):
Dhokla ke liye-
Besan_Gram flour - 01 cup,
Sooji_Semolina - 01 cup,
Dahee_Curd - 200 gram,
Haldi powder_Turmeric powder - 01 chutki,
Eno powder - 01 chhota chammach,
Namak_Salt - test ke mutabik.
Tadka lagane ke liye-
Tel_Oil - 01 bada chammach,
Sarson_Mustard seeds - 1/2 chammach,
Hari mirch_Green chilli - 03 (patli katri hui),
Shakkar_Sugar - 01 chhota chammach,
Nimbu ka ras_Lemon juice - 01 chhota chammach,
Curry patta_Curry leaves - 10-12 adad,
Nariyal_Coconut - 01 bada chammach (kaddukas kiya hua),
Namak_Salt - test ke mutabik.
Besan Rava Dhokla Banane ki Recipe:
Besan Rava Dhokla banane ke liye sabse pahle sooji, besan, dahi, haldi, namak ko pani men gholkar achchhi tarah se mila len. Pressure cooker men 2 glass pani len. Uske upar ek stand rakhen. Pani ko garam kar len.
Iske baad ek thali men tel lagakar use chikna bana len. Ab taiyaar mixture men eno dalkar use ek baar aur fent len. Fir use thali (gahri plate) men palat kar stand ke upar rakh den.
Ab cooker ko band kar den aur halki aanch par 20 minute tak pakne den. Dhyan rahe cooker men seeti nahin lagni chaahiye.
20 minute baad gais ko band kar den. Cooker ki gais nikal jane par use khol den aur dhokla ko baahar nikaal kar rakh den aur thanda hone den.
Dhokla thanda hone par chaku ki madad se thali ke kinare par chipak gaye dhokla ko alag kar len. Use kisi dusre bartan men palat kar nikal len aur apne manchahe shape men kaat len.
Ek chhoti kadai men tel garam karen. Garam hone par usmen sarson daal kar bhoon len. Uske baad hari mirch daal kar unhen bhi tal len. Uske baad ismen 1/2 cup pani mila den aur saath hi curry patta, namak aur shakkar bhi mila den. Ise ubal aane tak pakne den.
Ubaal aane ke baad gais ko band kar den. Iske turant baad nimbu ka ras kadai men dal den aur is mixture ko taiyaar Dhokla ke upar failaa den. Saath hi kaddukas kiya hua nariyal chhidak den.
Lijiye aapka Besan Rava Dhokla taiyar hai. Ise plate men nikalen aur family ke saath test karen.
keywords: Dhokla recipe in Roman Urdu, Dhokla recipe in Urdu, Instant Dhokla recipe in Urdu, Suji Dhokla recipe in Urdu, Rava Dhokla recipe in Urdu, Besan Dhokla recipe in Urdu, Gujarati khaman Dhokla recipe in Urdu, Masala Dhokla recipe in Urdu, Dhokla recipe in Roman English, Dhokla recipe without microwave, Jhatpat Dhokla recipe in Roman English, Dhokla recipe Urdu me, Dhokla recipe Urdu main, Dhokla recipe indian, Dhokla recipe indian food forever, Gujarati khaman Dhokla recipe, Khaman Dhokla recipe in Roman English, dhokla recipe in urdu dailymotion, indian dhokla recipe in urdu dailymotion, dhokla ki recipe in urdu
COMMENTS