Mix Veg Pasta Recipe in Roman English/Urdu.
Aaj hum apke liye Mix Veg Pasta Recipe lekar aye hain. Ye bachchon ko bahut pasand ata hai aur unke sehat ke liye bhi achchha hota hai. To aaiye jante han Mix Veg Pasta Recipe:
Zaruri Saman (Ingredients):
Pasta - 200 gram,
Shimla mirch_Capsicum - 02,
Pasta sauce - 150 gram,
Brockley - 200 gram,
Mushroom - 200 gram,
Beans - 50 gram,
Ajinomoto - 1/2 chhota chammach,
Olive oil - 2 1/2 bade chammach,
Soya sauce - 01 chhota chammach,
Oregano powder - 1/2 chhota chammach,
Chilli flakes - 1/2 chhota chammach,
Namak_Salt - test ke mutabik.
Mix Veg Pasta Banane ki Recipe:
Mix Veg Pasta banane ke liye sabse pahle beans, brockley ko dhokar chhota chhota kat len aur 2 chutki namak milakar 5 minute tak ubaal len. Mushroom ko dhokar uske danthal hata den aur 2 tukadon ko kat len.
Kadai men tel dalkar garam karen. Tel garam hone par usmen beans dal den aur 1 minute tak chalate hue bhoon len. Iske bad brockley dalen aur use bhi 1 minute bhoon len. Isake bad mushroom, ajinomoto, oregano powder, chilli flakes, soya sauce, namak dalakar, 2 minute bhoon len aur dhak kar gais band kar den.
Ab ek bartan men pasta rakhen, fir usmen itna pani dalen, jisse doob jayen. Iske baad pani men 1/2 chhota chammach namak aur 1 chhota chammach tel dal den aur medium anch par pakayen. 10 minute baad, jab pasta naram ho jaye, gais band kar den aur bartan ka pani chhankar nikal den.
Ab shimla mirch dhokar uske beej hata den aur chhote chhote tukde kat len. Iske baad kadai men tel dal kar use garam karen. Tel garam hone par usmen shimla mirch dal de aur 2 minute bhoon len.
Iske bad ubla hua pasta, pasta sauce aur ajinomoto dal den aur 1-2 minute chalate hue bhoon len. Ab pahle se taiyar ki gayi mix veg pasta men mila den aur achchhi tarah se chalakar mix kar len. Iske baad gais band kar den.
Lijiye apaka Mix Veg Pasta taiyar hai. Ise gargma-garam nikalen aur tomato sauce ke sath test karen.
COMMENTS