Mawa Gujiya Recipe in Roman English/Urdu.
Gujiya aam taur par kisi khas mauke par banayi jati hai. Ye banane men aasan hai aur ise kaafi dinon tak istemal kar sakte hain. To aaiye, aaj jaante hain Mawa Gujiya Recipe.
Zaruri Saman (Ingredients):
Gujiya men bharne ke liye:
Mawa/khoya - 400 gram,
Shakkar_Sugar - 400 gram (pisi hui),
Sooji_Semolina - 100 gram,
Sukha nariyal_Dry coconut - 100 gram,
Kaju_Cashew - 100 gram (mahin katre hue),
Kishmish_Raisins - 50 gram,
Ghee - 02 bade chammach,
Chhoti elaichi_Green cardamom -08 (chhil kar koot len).
Gujiya ka aata taiyar karne ke liye:
Maida-500 gram,
Doodh_milk - 50 gram,
Ghee - 125 gram (aata men dalne ke liye),
Ghee - gujiya talne ke liye.
Mawa Gujiya Banane ki Recipe:
Gujiya banane ke liye sabse pahle gujhiya men bharne ke liye bharawan taiyar karna hai. Iske liye ek bhari tale ki kadai len aur usmen mawa (khoya) ko halka bhura hone tak bhun len aur use ek ek alag bartan men nikal len.
Iske bad kadai men ghee dalen aur sooji dal kar use bhi halka brown hone tak bhun len. Bhun jane par sooji ko bhi ek alag bartan men nikal len. Ab mawa (khoya), sooji, shakkar aur mevon ko achchhi tarah se mila len. Ab aapki bharavan taiyar hai.
Ab gujiya banane ke aata ki taiyari karni hai. Iske liye sabse pahle ghee ko pighla len. Fir use chhane hue maida men dal kar achchhi tarah se mila len. Iske bad doodh ko bhi aate men mila den aur uske bad zarurat bhar ka pani dalkar thoda kada aata gooth len.
Guthe hue aate ko ek bartan men rakh den aur use geele kapde se dhak kar 30 minute ke liye rakh den. 30 minute ke baad aate ko kholen aur use ek baar halke hathon se gooth len. Iske baad aate ki chhoti-chhoti loyi bana len. Loiyan sukh kar kadi na ho jayen, isliye inhen geele kapde se dhak den.
Iske baad 1-1 loyi len aur use puri ki tarah bel len. Puri ke beech men 2 bade chammach bharavan rakh kar puri ko beech se palat den aur kinare ko mod kar band kar den. Aap chahen to iske liye gujiyon ke sanche ka bhi istemal kar sakte hain.
Sari gujiya bharne ke baad ek mote tale ki kadai men ghee garam karen. Ghee garam hone par aanch ko medium kar den aur usmen jitni gujiya aaram se tal saken, utni dalen aur halki brown hone tak ulat-palat kar tal len.
Ab aapki testy Gujiya taiyar hain. Ek plate men garma-garam gujiya nikalen aur test karen. Bachi hui gujiya ko thandi hone ke baad kisi air tight box men rakhen aur 15-20 dinon tak aaram se istemal karen.
(( Sweets ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords: How To Make Gujiya, Gujiya Recipe in Roman English, Gujhia Recipe Perakiya (Indian Pastry Sweet) Recipe, Mava Gujiya in Roman English, Gujia in Roman English, Gujhia in Roman English, Karanji in Roman English, Sweet Gujiya Recipe in Roman English, How to make Gujiya in Roman English, Mawa Ghujiya in Roman English, Integrients to fill the Gujiya, How to make Mawa Stuffed Gujiya, indian traditional sweets in Roman English, Sweet Recipes in Roman English, Traditional Sweet Recipes in Roman English, Gujiya Recipe in Roman English, gujia recipe without khoya, gujia recipe with khoya, gujia recipe with suji, gujia recipe with condensed milk, Gujiya recipe in Roman English by sanjeev kapoor, Gujiya recipe without mawa, Gujiya recipe step by step with pictures, coconut gujia recipe, coconut Gujiya recipe in Roman English, gujia recipe with khoya and suji in Roman English, gujia recipe in English, Gujia recipe in Urdu, Gujia recipe in Roman Urdu,
COMMENTS