Chilli Chicken Recipe in Roman English/Urdu.
Non veg ke shaukin Chilli Chicken ke murid hote hain. Iski vajah hai ki iska swad lajawab hota hai aur ye aasani se ban bhi jata hai. To lijiye, aap bhi try karen Chilli Chicken Recipe, hamen yakin hai ki ye recipe aapko pasand aayegi.
Zaruri Saman (Ingredients):
Bina haddi ka chicken_Boneless chicken - 500 gram (chhote chhote tukde),
Corn flour - 04 chhote chammach,
Hari mirch_Green chilli - 04 adad (2 hari mirch barik katen, do ko lambai men kat len),
Soya sauce - 04 chammach,
Tomato sauce - 2 chammach,
Pyaz_Onion - 02 adad (kati hui),
Lahsun_Garlic - 04 kali (barik kati hui),
Hari pyaz ka ras_Green onion juice - 04 chhote chammach,
Shimala mirch_Capsicum - 01 adad (kati hui),
Adrak lahsun pest_Ginger garlic pest - 02 chhote chammach,
Oive oil - 04 bade chammach,
Namak_Salt - test ke mutabik.
Chilli Chicken Banane ki Recipe:
Chilli Chicken banane ke liye sabse pahle chicken peace ko achchhi tarah se dho len. Iske baad adrak-lahsun pest aur namak lekar chicken peace men achchhi tarah se laga den aur 30 minute ke liye rakh den.
Ab ek bade bowl men corn flour lekar usmen thoda sa pani dalen aur achchhi tarah se ghol len. Iske baad usmen barik kati hari mirch dalen aur usmen chickan ke peace dubo den aur 30 minute ke liye rakh den.
Ab ek gahra fry pan lekar usmen tel garam karen. Tel garam hone par aanch medium kar den aur usmen chicken peace daal kar achchhi tarah se fry kar len. Fry hone ke baad chicken ko alag rakh den.
Iske baad bache hue tel men thoda sa tel aur dalen aur fir pyaz fry karen. Pyaz bhunne ke bad pan men hari pyaz ka juice aur shimla mirch dal kar 2 minute bhoon len. Iske bad bachi hui hari mirch dalen aur achchhi tarah se chala len.
Ab pan men tomato sauce soya sauce dalen aur uske bad chicken peace aur namak dalkar achchhi tarah se mila len. Iske bad pan men 1 cup pani dalen aur chalakar dhakan band kar den. Gais ki aanch halki kar den aur chicken ko pakne den.
10 minute ke baad dhakkan khol kar dekhen. Agar pan men pani bacha hua ho, to tej aanch karke use jala den.
Lijiye, ab aapka Chilli Chicken dry taiyar hai. Ise garma-garam plate men nikalen aur fried rice ya fir naan ke sath maze len.
(( Nonveg ki aur Recipes Yahan dekhen ))
COMMENTS