Chicken Biryani Recipe in Roman English/Urdu.
Non veg ke shaukin Biryani ke diwane hote hain. Ye khane men bahut testy hoti hai aur aasani se ban bhi jati hai. Sath hi ye bachchon aur badon sabhi ko pasand aati hai. To lijiye, isi bat par hazir hai aapke liye Chicken Biryani Recipe. Hamen yakin hai ki aapko ye recipe pasand aayegi.
Zaruri Saman (Ingredients):
Basmati chaval_Basmati rice - 500 gram,
Chicken - 750 gram,
Dahi_Curd - 150 gram,
Ghee - 1/2 cup,
Pyaz_onion - 03 (medium size ke),
Tamatar_Tomato - 04 (medium size ke),
Lahsun pest_Garlic pest - 02 bade chammach,
Adrak pest_Ginger pest - 02 bade chammach,
Biryani masala - 45 gram,
Kevada jal_Kewra water - 01 bada chammach,
Hari dhaniya_Coriander leaves - 01 gaddi,
Khane wala rang_Edible color - 01 chutki,
Pudina_Mint - 1/2 gaddi (barik kata hua),
Namak_Salt - test ke mutabik.
Chicken Biryani Banane ki Recipe:
Chicken Biryani banane ke liye sabse pahle chawal ko dho kar 10 minute ke liye bhiga den aur chicken ko dho len. Ab pyaz, tamatar ko dho kar alag-alag baarik kaat len. Sath hi dhaniya aur pudina ko bhi dho kar alag-alag barik katar len.
Ab ek fry pan men ghee dalkar garam karen. Ghee garam hone par usmen kata hua pyaz dalen aur sunahra hone tak bhun len. Iske baad chickan ke peace dalen aur chalate hue 5-10 minute bhoon len.
Iske bad pan men kate hue tamatar, adrak pest, lahsun pest, dahi, birayani masala aur halka sa namak dalen aur achchhi tarah se chala len. Gais ki aanch ko medium kar den aur chicken ko 10-12 minute tak pakayen. Chikan peace naram hone par gais band kar den.
Ab ek alag pan men 2-3 liter pani lekar usmen chawal aur namak dal kar ubalen. Jab chawal 1/2 pak jaye, gais band kar den aur chawal ka pani alag kar den.
Ab ek pan ko dheemi aanch par gais par garam karen. Pan garam hone par usmen chawal aur chickan curry ki parten laga len. Sabse pahle thoda sa chawal, fir curry, fir chawal fir curry.
Har parat par 1/2 cup pani men ghula hua khane wala rang, hari dhaniya, pudin aur kewda chhidakate rahen. Ab pan ko dhak den aur 10-15 minute tak paka len. Iske bad gais band kar den.
Lijiye, aapki Yummy Chicken Biryani taiyar hai. Ise garma-garam parosen aur pure pariwar ke sath maze len.
(( Chawal ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords:
easy chicken biryani recipe, chicken biryani sanjeev kapoor, south indian chicken biryani, pakistani chicken biryani, hyderabadi chicken biryani, indian chicken biryani recipe, chicken biryani recipe in urdu, how to make chicken biryani in roman english with picture, chicken biryani in roman english by nisha madhulika, biryani recipe in roman english by nisha madhulika, chicken biryani recipe in roman english by nisha madhulika, biryani recipe in roman english by sanjeev kapoor, biryani banane ki vidhi, biryani recipe in roman english by sanjeev kapoor, biryani kaise banaye roman english me, chicken biryani recipe in English, south indian chicken biryani recipe, how to make hyderabadi chicken biryani, hyderabadi chicken biryani recipe, Pakistani chicken biryani recipe, chicken biryani recipe in roman English, chicken biryani recipe in urdu by zubaida tariq, chicken biryani recipe in urdu video dailymotion, chicken biryani recipe in urdu by chef zakir
COMMENTS