Chandrakala Sweet Recipe in Roman English/Urdu.
Aaj hum aapke sath share kar rahe hain ek khas mithai ke bare men, jiska naam hai Chandrakala. Ise kuchh log Chndrakala Gujiya bhi kahte hain. To aaiye jaante hain Chandrakala Sweet Recipe.
Zaruri Saman (Ingredients):
Maida_flour - 250 gram,
Khoya/Mawa - 100 gram,
Badam powder_Almond - 50 gram,
Shakkar_Sugar - 05 bade chammach,
Elaichi powder_Cardamom powder - 01 chhota chammach,
Kesar_Saffron - 01 gram,
Ghee - 50 gram,
Refiend oil - talne ke liye,
Pani_Water - zarurat ke mutabik.
Chandrakala Sweet Banane ki Recipe:
Chandrakala banane ke liye sabse pahle ek bowl men khoya, badam powder, shakkar, elaichi powder ko aapas men mila len. Mile hue mixture ko 2 bhaag men baant len.
Ab ek badi plate men maide men ghee daalkar aapas men achchhi tarah se mila len. Maide men thoda sa paani milayen aur use aate ki tarah goonth len. Gunthe hue maide ko 15 minute ke liye gile kapde se dhak kar rakh den.
15 minute ke baad maide ko nikalen aur uski 20 loyi bana len. Fir unhen poori ki tarah bel len. Ab ek poori ke upar thoda sa khoya mixture rakhen aur uske upar se dusri poori rakh kar donon pooriyon ko aapas men dabaa kar seel kar den.
Aise hi sabhi pooriyon ko bana kar rakh len. Iske baad fry pain men tel garam karen aur taiyar pooriyon ko sunahra hone tak talen.
Ab aapki Chandrakala Gujiya taiyar hai. Chaahen to inhen chandi ke vark se sajaa len aur pure pariwar ke sath maze len.
(( Sweets ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords: Suryakala recipe in urdu, Chandrakala sweet recipe in Urdu, Chandrakala Gujhiya Recipe in Roman English, Suryakala sweet recipe, Chandrakala recipe by sanjeev kapoor, Chandrakala recipe in urdu, Gujia recipe with khoya and suji in Roman English, Gujiya recipe in Roman English, Gujiya recipe in Roman English by sanjeev kapoor, chandrakala sweet images, chandrakala dessert, chandrahara sweet, chandrakala sweet in Roman English, chandrakala sweet recipe in Roman English, suryakala sweet recipe in Roman English, traditional indian sweets in Roman English, chandrakala sweet recipe in Roman English, indian traditional sweets in Roman English, indian traditional sweets recipes in Roman English, raksha bandhan sweets in Roman English, raksha bandhan sweets and gifts in Roman English, raksha bandhan sweets recipes in Roman English, Gujiya recipe in Roman Urdu
COMMENTS