Bengali Fish Fry Recipe in Roman English/Urdu.
Machhli khane ke shaukinon men Bengali log sabse age hote hain. Bengali log Machhli banate bhi bahut testy hain. Isiliye aaj hum aapke liye Bengali Fish Fry Recipe lekar hazir hue hain. Hamen pura yakin hai ki ye recipe aapko pasand aayegi.
Zaruri Saman (Ingredients):
Bina Kante ki machhli_Boneless fish- 500 gram,
Nimbu ka ras_Lemon juice - 01 bada chammach,
Sukhe bread crumb_Bread crumb - thoda sa.
Marinate ke liye:
Anda_Egg - 01 (keval safedi),
Adrak ka pest_Ginger pest - 01 bada chammach,
Lal mirch powder_Chilli powder - 1/2 chhota chammach,
Tomato ketchup - 01 chhota chammach,
Hari dhaniya_Coriander leaves - 01 chammach (kati hui),
Kali mirch_Black pepper - 1/2 chhota chammach (taji kuti),
Namak_Salt - 1/2 chhota chammach.
Tartar sauce ke liye:
Mayonnaise - 1/2 cup,
Sirka_brown vinegar - 1/4 cup,
Khira_Cucumber - 01 bada chammach (barik kata hua),
Pyaz_onion - 01 bada chammach (barik kata hua).
Bengali Fish Fry Banane ki Recipe:
Machhli par nimbu ka ras aur namak achchhi tarah se laga len aur 10 minute ke liye rakh den. Iske baad unhen dho len aur kapde par rakh kar sookh jane den.
Marinate ke liye likali chizon ko aapas men mila len aur fir use machhli men mila den. Iske bad use 30 minute ke liye rakh den.
Tartar sauce banane ke liye pyaz aur khire ko sirke men dauba kar 30 minute tak rakh den. Iske baad sirke ko chhan kar alag kar len.
Ab khire aur pyaz ko achchhi tarah se daba kar uska sirka nikaal den. Iske baad pyaz aur khire ko mayonnaise men achchhe se mila len. Ab aapka tartar sauce taiyar hai.
Bread crumb ko dabakar machhli par laga den, jisse uski ek parat jaisi ban jaye. Iske baad use tel men medium aanch par tal len. Sunahra hone par use nikaal len aur tartar sauce tomato sauce ke sath serve karen.
(( Fish ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords: Fish fry recipe in Roman English, Fish fry recipe indian style in Roman English, Fish fry recipe Bengali style in Roman English, Fish fry Bengali style, Fish fry Bengali recipe in Roman English, Fish batter fry Bengali in Roman English, Bengali Fish fry masala in Roman English, Bengali Fish fry recipe in Roman English, Bengali recipes in Roman English, Bengali recipes of Fish in Roman English, how to make Bengali Fish fry in Roman English, Bengali rohu Fish fry recipe in Roman English, how to make butter Fish fry in Roman English, Fish fry recipe in Roman Urdu, fry fish recipe pakistani, fish fry recipe in urdu chef zakir, fried fish recipe in urdu by zubaida tariq, crispy fried fish in urdu, fish fry recipe in urdu by shireen anwar, fry fish recipe by shireen anwar,
COMMENTS