Instant Tomato Soup Recipe in Roman English/Urdu
Kabhi-kabhi jab aapke ghar men ekdam se koi mehman aa jaye, to samajh men nahin aata ki kya banaakar diya jaaye. Kya aapke sath bhi aisa hota hai? Agar, han to chinta mat karen. Aise hi maukon ke liye hazir hai jhatpat Tamatar Soup Recipe. Ye soup 10 minute men ban jata hai aur peene men bahut hi testy hota hai.
Tomato puree/Sauce - 1/2 cup,
Maida_Flour - 04 bade chammach,
Cream/Malai - 03 bade chammach,
Makkhan_Butter - 02 bade chammach,
Shakkar_Sugar - 02 chhote chammach,
Kali mirch poudar_Black pepper powder - 1/4 chhota chammach,
Namak_Salt - Taste ke mutabik.
[post_ads]
Apple Kheer Banane ki Recipe:
Jhatpat tamatar soup banane ke liye sabse pahle tomato puree/sauce men 2 cup pani milakar use ghol len. Fir usmen shakkar, kali mirch ka powder aur namak mila len.
Iske baad fry pain men makkhan dalkar use garm karen. Garam hone par usmen maida dalen aur thoda sa bhoon len.
Iske bad usmen puree/sauce ka ghol dal den aur chammach se chalate hue medium aanch par pakayen.
Soup ko beech beech men chalate rahen. Jab soup jab thoda ghaadha ho jaye, gais band kar den.
Ab aapka jhatpat Tamatar Soup taiyar hai. Ise cup men nikalen, upar se cream/malai dalkar sajayen aur garma-garam serve karen.
(( Soup ki aur Recipes Yahan dekhen ))
COMMENTS