Aloo Paratha Recipe in Roman English/Urdu
Parathe kise pasand nahi hoe? Aur agar thand ke mausam men garma-garam Aloo Paratha ho, to phir baat hi kya! Kyon, aa gaya na munh men pani? To lijiye aapke liye hazir hai Aloo Paratha Recipe:
Zaruri Saman (Ingredients):
Bharavan (Stuffing) ke liye-
Aaloo_Potato - 02 cup (ubal kar maish kiye hue),
Hari mirch_Green chilli - 02 (barik kati hui),
Adrak_Ginger - 01 tukda (kaddukas kiya hua),
Garam masala powder - 1/2 chhota chammach,
Jira powder_Cumin powder - 1/2 chhota chammach,
Amchur powder - 01 chhota chammach,
Garam masala powder - 01 chhota chammach,
Hari dhaniya_Coriander leaves - 01 chhota chammach (kati hui),
Namak_Salt - Test ke mutabik.
Ghunthne ke liye-
Genhun ka atta_Wheat flour - 02 cup,
Tel_Oil - 02 bada chammach (moyan ke liye),
Pani_Water - zarurat ke mutabik,
Tel_Oil - talne ke liye,
Namak_Salt - Test ke mutabik.
Aloo ParathaBanane ki Recipe:
Aloo paratha banaane ke liye sabse pahle parathaa senkne ke liye tel ko alag karke gunthne ke saman ko aapas men milakar achchhi tarah se goonth len aur 15 minute tak rakh den.
Isake baad bharavan ki chizon ko achchhi tarah se mila len aur phir use dhak kar 15 minute ke liye rakh den.
Isake baad atte se manchahe sizer ki loi banayen aur usmen zarurat bhar ki bharavan ka mixture dal kar use atte se charon or dhank den. Aur se bel kar parathe ke size men banaa len.
Iske Baad tawa ko garam Karen. Tawa garam hone par bele hue parathe ko dalen aur halka-halka senk len.
Iske baad tawa men do chhote chammach tel dalen aur parathe ko ulat-pulat kar donon taraf se achchhe se senk len.
Lijiye aapka Aloo paratha taiyar hai. Ise plate men nikalen aur tomato sauce, chutney ya achar ke sath test karen.
(( Ladoo ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords:
Aloo ka paratha recipe in Roman English, Aloo paratha recipe tarla dala, Aloo pyaz paratha recipe in Roman English, Aloo paratha recipe vahrehvah, Aloo ka paratha by sanjeev kapoor in Roman English, stuffed parathas recipe sanjeev kapoor, hyderabadi Aloo paratha, Aloo paratha in Roman English, Aloo paratha recipe in Roman English by sanjeev kapoor, aalu paratha recipe in Roman English, Aloo ka paratha pakistani recipe, lachha paratha in Roman English, Aloo paratha ingredients in Roman English, Aloo paratha recipe step by step in Roman English, Potato Paratha Recipe in Roman English, punjabi Aloo paratha recipe in Roman English,, Aloo paratha punjabi style in Roman English,, easy Aloo paratha recipe in Roman English,, Aloo paratha in Roman English, Aloo ka paratha in Roman Urdu, Aloo ka paratha recipe in Roman Urdu
COMMENTS