Milk Cake Recipe in Roman English/Urdu
Agar aap apne ghar par koi special mitha banana chahate hain, to north india ki popular mithai Milk Cake ko zarur try karen. Milk cake doodh se banne wali ek testy mithai hai, jo apne sondhepan se dil jeet leti hai. To lijiye, aapke liye hazir hai Milk Cake Recipe:
keywords: How to make Milk Cake Kalakand, Milk Cake Recipe, Milk Cake Kalakand Recipe In Roman English, Ingredients for Milk Cake, Milk cake Burfi recipe, Barfi recipe, Milk cake kalakand, Milk cake Sweet Recipe in Roman English, Indian Regional Recipes In Roman English, North Indian Recipes In Roman English, Burfi recipe in Roman English, Festival recipes in Roman English, Festival Recipes, Deepawali Sweets Recipe in Roman English, Christmas Recipes in Roman English, Indian Festival Recipe in Roman English, Cake Recipes in Roman English, Milk Cake In Roman Urdu, Milk Cake Recipe In Roman Urdu,
( Urdu Recipe - HINDI RECIPE - English Recipes )
Zaruri Saman (Ingredients):
Doodh (Milk) - 02 liter,
Deshi ghee (Pure ghee) - 1/2 chhota chammach,
Shakkar (Sugar) - 01 cup,
Nimbu ka ras (Lemon juice) - 1/2 chhota chammach,
Elaichi powder (Coriander powder) - 01 chhota chammach.
Milk Cake Banane ki Recipe:
Milk Cake banane ke liye sabse pahle ek bhari tale ki kadhai men doodh ko tej anch par garam karen. Jab doodh men ubal ane wala ho, use kalchhi se lagatar chalayen. Kalchhi ko kadai ke tale tak le jayen, jisse doodh tale men chipke nahin.
Jab doodh 1/3 rah jaye, to gais ko dhima karaa den. Ab ek chhote se bowl men nimbu ka ras len aur usmen 2 bade chammach pani dal kar mila len. Iske bad nimbu ke ras ko doodh men dal den. 30-40 second doodh ko aise hi pakane den. Iske bad doodh ko fir se chalayen aur jab tak doodh achchhi tarah se gadha na ho jaee, use pakne den.
Thodi der men doodh gadha hokar danedar jaisa ho jayega. Ab ismen shakkar dal den aur chalate hue tab tak pakayen, jab tak iska rang halka bhura na ho jaye aur vah rabdi jaisa na ban jaye. Doodh ke rabdi jaisa banne par ismen elaichi powder dal den aur ek bar achchhi tarah se chala kar gais bnd kar den.
Ab ek chhota sa bartan len aur usmen andar ki or deshi ghi achchhi tarah se laga den. Iske bad doodh ke mixture ko is bartan men palat len aur jamne ke liye 24 ghante chhod den. 24 ghante men Milk Cake jam kar taiyar ho jayega.
Ab Milk ko bartan se nikalne ke liye ise 6-7 second ke liye aag par rakhen, fir ek tez chaku se cake ko bartan se chhuda len. Jab cake charon or se bartan ki layer chhod de, ise kisi badi plate par palat kar thapthapa len. Isse milk cake plate men achchhi tarah se nikal ayega.
Ab aapka testy Milk Cake taiyar hai. Bas ise chaku se manchahe size men katen aur fir pure pariwar ke sath aanand len.
(( Cake ki aur Recipes Yahan dekhen ))

COMMENTS