Daliya Recipe in Roman English/Urdu
Daliya (Dalia) khane ke fayde hi fayde hain. Isamen fiber, minarals, vitamins, magnesium, iron aur phosphorus bhi paya jata hai. Daliya men kam calorie, kam fat aur behtar quality ka fiber paya jata hai, jisse ye body ke liye bahut faydemand hota hai. Sath hi ye khane men behad testy aur banane men behad aasan hoti hai. To aie jante hain Daliya banane ki recipe.
Zaruri Saman (Ingredients):
Genhu ka daliya (Bulgur) - 01 cup,
Dudh (Milk) - 01 cup,
Shakkar (Sugar) - 02 bade chammach,
Makkhan/Ghi (Butter/Ghi) - 02 chhote chammach,
Hari elaichi (Cardamom) - 02 nag.
Daliya Banane ki Recipe:
Agar apke ghar men genhun hon, to unhen dhul kar sukha len aur atta chakki se mota dardara piswa len. Lekin agar aap itna jhnjhat nahin karna chahte hain, to bazar se daliya ke packet kharid len.
Daliya ko banane ke liye sabse pahle daliya ko been len aur uski gandagi saaf kar len. Iske bad gais par cooker garam karen. Garm hone par usmen makkhan dalen.
Jab makkhan pighal jaye, usmen ilaychi dalen aur halka sa chala len. Isake bad cooker men daliya dal den aur chalate hue halka rang badalne tak bhun len.
Daliya bhun jane par cooker men dudh, daliya ka 3 guna pani (1 cup daliya hone par 3 cup pani) aur shakkar dal den aur cooker ka dhakkan band karke dhimi anch par pakayen.
Daliya ko 3 minute tak pakne den, iske bad gais band kar den aur cooker ki gais apne aap nikalne den.
Lijiye, aapki Swadist Daliya taiyar hai. Ise garma-garam serving bowl men nikalen aur parivar ke sath aanand len.
Note:-
Agar aapko mithi daliya nahin pasand hai, to ismen shakkar na dalen. Usake sthan par aap thoda sa namak dale aur namkeen Daliye bana len.
Agar aap daliya ka swad aur badhana chahte hain, to ismen dudh ki matra 2 guni kar den aur usi anupat men pani ki matra kam kar den.
Agar aapko dudh nahin pasand hai, to use na dalen, sirf daliya ka 4 guna pani dalen aur sadi daliya bana len.
keywords: Ingredienst for Daliya, Ingredienst for Dalia, How to make Daliya, Dailya recipes in Roman English, Salted Porridge Recipe in Roman English, Khichdi Recipe, Rice Recipes in Roman English, Dalia Recipe in Roman English, Daliya Recipe, Daliya khichdi recipe in Roman English, Meetha daliya recipe in Roman English, Namkeen dalia recipe in Roman English, Dalia making recipe in Roman English, Dalia Recipe in Roman Urdu, Meetha daliya recipe in Roman Urdu, Namkeen dalia recipe in Roman Urdu,
COMMENTS