Anarsa Sweet Recipe in Roman English/Urdu
Barsat ke dinon ke apne maze hain. Chahe garam-garam pakaude hon ya fir garm-garm Anarse, khane men bahut aanand aata hai. Anarse Uttar Bharat ki paramparik mithai hai, jo chawal se banai jati hai. Ye khane men behad kurkure aur sondhe hote hain aur bachchon ko bhi bahut pasand aate hain. To fir aap bhi banayen Chawal ke Anarase. Anarse ki recipe aapke liye hazir hai.
Zaruri Saman (Ingredients):
Chawal_Rice - 1 1/2 cup (naye chawal, chhote size ke),
Shakkar_Sugar - 1/2 cup (pisi hui),
Dahi_Curd - 1/3 cup,
Deshi ghee_Pure ghi - 02 bade chammach,
Til_Mole - 02 bade chammach,
Ghee - talne ke liye.
Anarsa Sweet Banane ki Recipe:
Chawal ke Anarse banane ke liye sabse pahle chawal ko saaf karke dho len aur fir unhen 3 din ke liye bhigo den. Lekin chawalon ko bhigone ke waqt is baat ka dhyan rakhen ki har 24 ghante ke bad unka pani badalte rahen.
3 din ke bad chawalon ko ek bar aur dho len aur fir unka pani nikal kar unhen kisi chhayadar jagah par suti kapde ke upar faila den. Jab chawalon ka pani sukh jaye lekin ve nam bane rahen, unhen mixer men mota-mota pees len.
Ab chawal ka atta, shakkar ka powder, dudh, ghi ko aapas men mila len aur thoda kade atta ki tarah gunth len. Agar zaruri lage, to to ismen thoda pani bhi mila sakte hain.
Atta ko achchhi tarah se gunthne ke bad ise geele kapde se dhak kar 12 ghante ke liye rakh den. Ab atte ki chhoti-chhoti loi bana len aur unhen til ke upar rakh kar ghuma len, jisse unke charon or til lipat jayen.
Isake bad ek kadai men ghee garam karen. Ghee garam hone par aanch medium kar den aur usmen anarse ki galiyon ko dal kar ulat-pulat kar lal hone tak tal len.
Lijiye apaki Anarase ki testy mithai taiyar hai. Chahen to aap inhen garam-garam khayen aur chahen to air tight box men rakh kar 15 dinon tak istemal karen.
(( Mithai ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords: Chawal Ke Anarase in Roman English, Chawal Ke Anarase Recipe in Roman English, Anarsa Recipe in Roman English, Anarse Recipe in Roman English, Ingredients for Anarsa Recipe, How to Make Anarase, Rice sweets in Roman English, Indian traditional sweets, Festival sweets in Roman English, Sweet Recipes in Roman English, Traditional Sweet Recipes in Roman English, Anarse ki Goli, Chawal Ke Anarase in Roman Urdu, Chawal Ke Anarase Recipe in Roman Urdu, Anarsa Recipe in Roman Urdu, Anarse Recipe in Roman Urdu,
COMMENTS