Poha Recipe in Roman English/Urdu
Poha ek North Indian Recipe hai. Ye Jhatpat taiyar ho jata hai. Iski khas baat ye hai bhee hai ki yah bahut testy hota hai. Aapko jaankar khushi hogi ki 07 June ko World Poha Day bhi manaya jata hai. To aaiye ab jaante hain Poha Recipe.
( Urdu Recipe - HINDI RECIPE - English Recipe )
Zaruri Saman (Ingredients):
Poha (Flattened rice) - 150 gram,
Besan ke senv - 01 chhoti katori,
Shakkar (Sugar) - 01 bada chammach,
Curyy patta (Curry leaf) - 07 adad,
Hari mirch (Green chilli) - 02 (barik kati hui),
Matar ke dane (Pease) - 02 bade chammach,
Moongfali ke dane (Peanuts) - 02 bade chammach,
Nimbu ka ras (Lemon juice) - 02 chhote chammach,
Hara dhaniya (Coriander) - 01 bada chammach (barik kata hua),
Rai (Yellow mustard) - 1/2 chhota chammach se kam,
Tel (Oil) - 01 bada chammach,
Haldi powder (Turmeric powder) - 1/2 chhota chammach se kam,
Namak (Salt) - zarurat ke mutabik.
Poha Banane ki Recipe:
Poha banana ke liye sabse pahle poha ko been kar saaf kar len. Ab use ek bade bartan men rakh kar usme pani se ek baar halka sa dho len.
Dhulne ke baad poha men ek cup pani daal den aur usmen namak aur shakkar dalkar 15 minute ke liye dhak kar rakh den.
Ab kadaii ko gais par rakh kar usmen tel dalen aur garam karen. Tel garam hone par usmen rai ke dane dal den. Rai ke bhun jane par usmen curry patta dalen. Uske baad hari mirch, haldi powder aur matar ke dane bhi dalen aur bhun len.
Iske baad bhiga hua poha kadai men dalen aur chalate hue 2 minute tak pakayen aur gais band kar den. Ab aapka Poha lagbhag taiyar hai. Bas ismen nimbu ka ras dalen aur achchhi tarah se mila den.
Ab garma-garam poha ko plate men nikalen aur upar se hari dhaniya aur senv dal kar test karen.

(( Street Food ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords: kanda poha recipe in urdu, aloo poha recipe in urdu, indian poha recipe in urdu, How To Make Poha, Aloo poha recipe, Potato Poha Recipe in Roman English, How To Prepare Poha Recipe, Ingredients for Poha, Rice flakes in Roman English, Chiwda recipe in Roman English, Chiwra recipe in Roman English, Flattened rice recipe in Roman English, Beaten rice recipe in Roman English, Green Pea Poha recipe in Roman English, Zero Oil Recipes in Roman English, Snacks Recipes in Roman English, Namkeen Snacks Recipes in Roman English, Maharashtrian poha recipe in Roman English, Kanda poha recipe in Roman English, Potato Poha Recipe in Roman Urdu, Chiwda recipe in Roman Urdu, Chiwra recipe in Roman Urdu,
COMMENTS