Black Forest Cake Recipe in Roman English/Urdu
Ghar men chahe birthday party ho ya fir shadi ki sal girah, cake ki zarurat to padti hai. Aise men hamen bazar se cake lana padta hai. Lekin agar vahi cake ghar men ban jaye, to fir kya baat hai. To leejiye aaj aapke liye ham laaye hain Black Forest Cake Recipe. Hamen yakin hai ki ye recipe aapko pasand aayegi.
( Urdu Recipe - HINDI RECIPE - English Recipes )
Zaruri Saman (Ingredients):
Maida (Flour) - 125 gram,
Makhan (Butter) - 50-75 gram,
Ande (Egg) - 05 adad,
Fenti hui cream (Whipped cream) - 02 cup,
Shakkar (Sugar) - 1/2 cup,
Baarik mahin shakkar (Icing sugar) - 1/2 cup,
Cocoa powder - 02 bade chammach,
Vanilla essence - 01 chhota chammach,
Baking powder - 1/2 chhota chammach,
Baking soda - 1/2, chhota chammach,
Coca cola - 100 ml.,
Cherry - zarurat ke mutabik,
Chocolate flakes - zarurat ke mutabik,
Butter paper - zarurat ke mutabik.
Black Forest Cake Banane ki Recipe:
Black Forest Cake banane ke liye sabse pahle ovan ko 175 D.C. par preheat kar len. Cake pain ke andar ki taraf butter ko achchhi tarah se laga den aur fir uske beech ke tale men uske size ka butter paper rakh kar uske upar bhi butter laga den.
Ab andon ko ek bowl men fod kar fent len. Fir usmen maida, cocoa powder, shakkar, butter, beking powder, beking soda aur vanilla essence daalen aur use achchhi tarah se mix kar len. Ab is mixture men coca cola mila den aur fir use achchhi tarah se mix kar len. Taiyar mixture ko cake pan men daalen aur use preheat kiye ovan men rakh kar 190 D.C. par 25 minute ke liye set kar den.
25 minute baad cake ko baahar nikaalen aur use thnda hone den. Jab tak cake thanda ho raha hai, cake ko sajane ki taiyari kar len. Iske liye ek bowl men cream aur icing sugar lekar use achchhi tarah se fent len. Ab ek tej chaku se cake ko beech se khada kaat len. Kate hue hisse men taiyar cream bharkar cake ke donon bhaagon ko aapas men mila den.
Ab bachi hui cream se cake ko upar se saja den. Uske baad cake ko cherry aur chocolate flakes se manachahe roop men saja len.
Ab aapka Black Forest Cake ekdam taiyar ho gaya hai. Bas ise fridge men rakh kar thanda kar len aur fir apni zarurat ke mutabik istemal karen.
(( Cake ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords: Black Forest Cake recipe in Roman English, Black Forest Cake in Roman English, original Black Forest Cake recipe in Roman English, easy Black Forest Cake recipe in Roman English, Black Forest Cake recipe masterchef in Roman English, indian Black Forest Cake recipe in Roman English, chocolate cake recipe in Roman English, cake recipes in Roman English, cake recipes in microwave in Roman English, cake recipes for beginners in Roman English, chocolate cake recipes in Roman English, simple cake recipes in Roman English, Black Forest Cake recipe in Roman Urdu, chocolate cake recipe in Roman Urdu, cake recipes in Roman Urdu,
COMMENTS