Petha Sweet Recipe in Roman English/Urdu
Agra ka Petha door-door tak mashhur hai. Ye petha fruite se banta hai aur khane men bahut laziz hota hai. Aaiye jaante hain petha banane ki recipe. Hamen yakin hai ke ye recipe aapko zarur pasand aayegi.
Shakkar (sugar) - 750 gram,
Kewda essence - 01 chhota chammach (tsp),
Fitkari (alum) -1/4 chhotaa chammach (tsp),
Kesar / khane ka rang (saffron or sweet color) - 3-4 boond.
Petha Sweet banane ki recipe:
Pethe ke fal ko chheel kar uske beej aur uske aaspaas ka mulayam bhaag nikaal den. Fal ko chhote-chhote tukadon men kaat len aur unhen kaante (fork) se achchhee tarah se god den.
Ab ek bartan men itna pani len, jismen pethe ke tukde doob saken. Pani men fitkari daal kar ghol den. Uske baad pethe ke kate hue tukade us ghol men daal den aur 2 ghante (hour) ke liye dhak kar rakh den.

2 ghante baad pani se pethe ke tukde nikaal len aur use saaf pani se achchhi tarah dhul len. Uske baad ek bartan men pethe doobne jitnaa pani lekar garam karen.
Jab ye pani khaulne lage, ismen pethe ke tukde daal den. 5-6 minute men pethe ke tukdon ka rang badalne lagega. Ab gais ko band kar den aur pethe ke tukdon ko pani se nikaal len.
Jab ye pani khaulne lage, ismen pethe ke tukde daal den. 5-6 minute men pethe ke tukdon ka rang badalne lagega. Ab gais ko band kar den aur pethe ke tukdon ko pani se nikaal len.
Ek bade bartan men pethe aur shakkar ko ek saath rakh kar dheemi aanch par pakayen. Thodi der men pethe ke tukdon se pani nikalnle lagega, jisse shakkar ghul jayegi.
Shakkar ke pighalne par usmen khane vala rang daal den aur medium aanch par pethe ko pakaate rahen. Thodi der men chaashni aur pethe ka guda kafi gaadhe ho jayenge.
Shakkar ke pighalne par usmen khane vala rang daal den aur medium aanch par pethe ko pakaate rahen. Thodi der men chaashni aur pethe ka guda kafi gaadhe ho jayenge.
Ab gais ko band kar den aur pethe ko 5-6 ghante ke liye dhak kar rakh den. Isse pethe men bachi chashni sookh jayegi aur badhiya rasila pethaa taiyar ho jayega.
Ab pethe ko ek alag bartan men nikaal len aur uspar kewda jal chhidak kar use manchahe shape men kaat len.
Ab pethe ko ek alag bartan men nikaal len aur uspar kewda jal chhidak kar use manchahe shape men kaat len.
(( Mithai ki aur Recipes Yahan dekhen ))
Agar petha jyadaa rasila ho, to ise kisi jalee par rakh kar pankhe (fan) ke neeche 4-5 ghnate rakh den. Isse sukha pethaa (dry petha sweets) taiyar ho jayega. Ab Pethe ko fridge men rakhkar lambe samay tak istemaal kiya ja sakega.
keywords: Petha Sweet in Roman English, Petha Sweet Recipe in Roman English, How to make petha sweet, Ingredients for Petha Sweet, agra petha sweet recipe in Roman English, petha fruit in Roman English, Sweet Recipes in Roman English, Murabba Recipe in in Roman English, Traditional Sweet Recipes in Roman English, Indian Regional Recipes in Roman English, North Indian Recipes in Roman English, angoori petha recipe in Roman English, Petha Sweet Recipe in Roman Urdu, Petha Sweet Recipe in Urdu Roman,
COMMENTS