Easy Papad Kadhi Recipe in Roman English/Urdu
Aapne khane ke saath to papad khaye honge, par kya papad ki sabzi khayi hai? Nahin, to aapke liye aaj pesh hai Papad Kadhi. Ye banane men aasan hai aur khane men testy.
Zaruri Saman (Ingredients):
Lijjat papad - 08 adad,
Dahi (curd) - 1/2 cup,
Kashmiri mirch powder) - 1/2 chota chammach,
Hari mirch (green chilly) - 04 (lambai men kati huyi),
Tel (oil) - 01 chota chammach,
Haldi powder (turmeric powder) - 1/2 chota chammach,
Garam masala powder - half tsp,
Dhaniya powder (coriander powder) - 1/2 chota chammach,
Methi dana (fenugreek seeds) - 1/2 chota chammach,
Namak - zarurat ke mutabik.
Papad Kadhi Banane ki Recipe:
Papad Kadhi banane ke liye papdon ke 5-6 peace men kar len aur unhen 7-8 minute ke liye pani men bhiga den.
Ab dahi men namak, haldi powder aur dhaniya powder daalen aur achchhi tarah se mila len.
Ab dahi men namak, haldi powder aur dhaniya powder daalen aur achchhi tarah se mila len.
Ek fry pan men tel garam karen. Tel garam hone par usmen methi dana dalen. Fir usmen kati huyi hari mirch aur kashmiri mirch powder dalen aur bhoon len.
Ab pan men dahi aur ek cup pane (jarurat hone par kam/jyada karen) dalen aur use achchhi tarah se mila den.
Ab pan men dahi aur ek cup pane (jarurat hone par kam/jyada karen) dalen aur use achchhi tarah se mila den.
Jab pan men ubaal aa jaye, usmen papad aur garam masala mila den aur 1 minute tak paka len.
Ab aapki testy Papad Kadhi taiyar hai. Ise garma-garam nikalen aur roti/paraatho ke saath test karen.
Ab aapki testy Papad Kadhi taiyar hai. Ise garma-garam nikalen aur roti/paraatho ke saath test karen.
Recipe By Ms. Archana Singh (New Delhi)
(( Rajasthani Food ki aur Recipes Yahan dekhen ))
keywords: Papad Kadhi Recipe in roman english, papad kadi in roman english, papad ki kadhi in roman english, rajasthani papad ki sabzi recipe in roman english, papad curry recipe in roman english, papad curry recipe rajasthani in roman english, papad ki sabzi in roman english, papad ki sabzi rajasthani in roman english, papad ki sabzi in roman english, recipe of kadhi in roman english, kadhi recipe in roman english, dahi kadhi recipe in roman english, sindhi kadhi recipe in roman english, gujarati kadhi recipe in roman english, Papad Kadhi Recipe in roman urdu, papad kadi in roman urdu, papad ki kadhi in roman urdu, papad ki sabzi in roman urdu, kadhi recipe in roman urdu,
COMMENTS