Amla Chutney Recipe in Roman English / Urdu
Amla sehat ke liye bahut faydemand hota hai. Isiliye aaj ham Amla Chutney Recipe lekar aaye hain. Ummeed hai aapko Amla Chutney pasand aayegi.
Zaruri Saman (Ingredients):
Hari dhaniya (coriander) -50 gram,
Hari mirch (green chilli) - 04 adad,
Lahsun (garlic) -10 kalee,
Kali mirch (black pepper) -07 adad,
Hing (asafoetida) -01 chutki,
Namak (salt) - zarurat ke mutabik.
Amla Chutney Banane ki Recipe:
Sabase pahale amla ko dho len. Uske baad chaku se unka guda kaat kar alag kar len aur guthliyon ko nikaal den.
Ab hari dhaniya ko dho kar use badi-badi kaat len. Saath hi hari mirch ke bhi 2-3 piece kar len.
Ab hari dhaniya ko dho kar use badi-badi kaat len. Saath hi hari mirch ke bhi 2-3 piece kar len.
Ab amla, hari dhaniya, hari mirch, lahsun, kali mirch, hing aur namak mila kar sil par ya mixer men baarik pees len.
Ab aapki Amla Chutney taiyar hai. Ise fridge men rakh kar 7-8 din tak istemal kar sakte hain.
Ab aapki Amla Chutney taiyar hai. Ise fridge men rakh kar 7-8 din tak istemal kar sakte hain.
(( Chutney ki aur Recipes Yahan dekhen ))
Lijiye, aapki chatpati Amla ki chutney taiyar hai. Ise khane ke saath khayen aur swad ke sath sehat bhi payen.
keywords: Amla Ki Chutney in Hindi, Amla Chutney Recipe in Hindi, Gooseberry Chutney in Hindi, Amla chutney in Hindi, Ingredients for Amla Chutney, How to make Amla Chutney, amla chutney, amla chutney recipe indian in hindi, amla chutney preparations in hindi, amla meethi chutney, Healthy Veg Recipes in Hindi, Amla Recipes in Hindi,
COMMENTS