Badam Firni Recipe in Roman English/Urdu
Firni chawal (rice) ke atte se banayi jati hai aur khane men bahut testy hoti hai. To chaliye, aapka zyada time na lete hain aur seedhe aapko Firni Recipe batate hain.
( Urdu Recipe - HINDI RECIPE - English Recipe )
Doodh (milk) - 04 cup,
Pani (water) - 02 cup,
Shakkar (sugar) - 03 bade chammach (tbsp),
Ghee (ghee) - 01 bada chammach (tbsp),
Badam (almond)-katre hue - 02 chhote chammach (tsp),
Kaajoo (cashew)-katre hue - 02 chhote chammach (tsp),
Pistaa (pistachios)-katre hue - 01 chhota chammach (tsp),
Eaichi (cardamom) - 4 adad.
Badam Firni banane ki Recipe:
Fry pan men ghee garam karke usmen pise hue chawal daal kar 6-8 minute bhoonen.
Atta bhun jane par usmen elaichi ke dane nikal kar dalen aur chalayen.
Atta achchhi tarah se bhun jane par usmen pani aur doodh milayen aur is tarike se chalayen jisse atta poori tarike se ghul jaye.
Atta bhun jane par usmen elaichi ke dane nikal kar dalen aur chalayen.
Atta achchhi tarah se bhun jane par usmen pani aur doodh milayen aur is tarike se chalayen jisse atta poori tarike se ghul jaye.
Ab fry pan men shakkar aur badam mila den aur medium aanch par chalate hue pakayen.
Atte ka ghol jab gaadha ho jaye aur tali men baithne lage, to aanch band kar den.
Ab aap ki Almond Firni taiyar hai. Chahen to ise garamaa-garam khayen aur chaahen to ise normal temperature par aane ke baad fridge men thndi karke khayen.
Haan, Firni nikalne se pahle ismen kate hue kaju aur pishta milana na bhulen.

(( Kheer ki aur Recipes Yahan dekhen ))
COMMENTS